गुरुवार, फ़रवरी 05, 2009

machis ki ek tili.....

machis ki tili,kabhi diya jalati hai,kabhi ghar jalati hai,
kabhi kisi cigrate k jalne ka sabab hai,
uski raushni kabhi apne dikhati hai,
kabhi logo se milati kabhi logo ko jalati hai,
ek chhoti si tili,bade kaam aati hai,
kisi tili ki lau mujhe kuchh sujhati hai,
jaise koi insaan ki shakl me yu jalta raha hai,
jaise koi pyari si bachhi k nritya me,
wo kashish hai is machis ki tili me,
kai razz hain,
kai baat hai,
jaise koi akela hai,
to koi kisi k sath hai,
kabhi ye bhagat singh ki garmi batati hai,
kabhi gandhi ji k jwalant aadrshon ka udaharan banti hai,
ek machis ki tili bade kaam aati hai,
mera v ek anokha rishta hai is tili se,
kabhi mere ghar me raushni is ki vajah se,
kabhi mere dhuve ki vajah hai ye machis ki tili,
pata nahi kyu mujhe isme kuchh har rozz naya milta hai,
kabhi mujhe iski lau purani lagti hai,
jaise kisi muhaabaat ki kahani lagti hai,
log ragadte hain inhe,par ye jalte hain
us pyar ko machis ki dibiya se paa kar,
hamare gaanv k chulhe v yahi jalati hai,
machis ki ek tili v badi kaam aati hai,
kabhi kisi ki daah me,
kabhi kisi havan me,
har jagah iska kaam,
har vatan me,
ye kai kahaniyo ki sada ban jati hai,
machis ki ik tili bade kaam aati hai......

2 टिप्‍पणियां:

Bhanu ने कहा…

Very good Virat Gupta..........
(Bhanu Lashkar here)

Bhanu ने कहा…

Virat you may send me your Kavita to my Orkut ID

Bhanu lashkar ke naam se search karna orkut me.

प्रश्न

प्रश्न कौन सा भाव समर्पण का ह्रदय में भर लाये हो ? इतने पाषाणों को वहां कर कर-कमलों में आये हो, क्या विवेक की बातें करूँ और क्या सौहार्...