गुरुवार, फ़रवरी 05, 2009

AASRAA

bachapn chahta hai maa baap ka aasraa,
jawani mangti pyar ka aasraa,
budhapa chahta hai aulad ka aasraa,
par beta hai de deta ladhi ka aasraa,
na khane ka aasraa na pine ka aasraa beta hai de deta ladhi ka aasraa,
bachapan me jab tu puchhta tha kauve ko baar baar,
maine v bataya tha har baar,
aaj maine puchha kya hai mazra,
jhidak kar mujhe kaha tune kya mera vasta,
beta hai de deta ladhi ka aasraa,
paida huaa jab tu na kuchh tere paas tha,
na teri bagal me Kagaz davaat tha,
maine hi tujhe diya tha har shai ka aasraa,
maine jab kaha tujhe mujhe aasraa de,
apni waqt ka ek jara sa hissa de,
ab tujhe nahi waqt hai mere liye,
par mujhe hamesha waqt hai tere har gam k liye,
maine kuchh puchha to bura ho gaya,
khak kiya tune mera aasraa,
beta ha de deta ladhi ka aasraa,
khud gile me so kar sukhe me tujhe sulaya,
apne kapde kaat kar tere kamiz banaya,
apne ko bhool hamesha teri kushi chahe,
ab main kuchh mangu tu puchhta hai kahe,
sab kuchh juda tha tujhse,
tu tha mera aasra beta hai de deta ladhi ka aasraa,
ab bas mujhe chahiye char kandho ka aasraa,
par beta hai de deta ladhi ka aasraa..

कोई टिप्पणी नहीं:

प्रश्न

प्रश्न कौन सा भाव समर्पण का ह्रदय में भर लाये हो ? इतने पाषाणों को वहां कर कर-कमलों में आये हो, क्या विवेक की बातें करूँ और क्या सौहार्...